Showing posts with label shayari. Show all posts
Showing posts with label shayari. Show all posts

Friday, 13 April 2012

Aazaad Parindey...





Rokoge kaise falak tak pahunchne se mujhe, 
Katroge mere par ya baandhoge tum mere paer, 
Pinjare ki salakhein rokengi na mujhe, 
Jaunga main un aasmano mein,
Jahan bharte hain parwaaz, 
Mere jaise hi kuch aazaad parindey. 


Neele aasmaan mein main bharunga udaan duur tumhari iiss qaid se, 
Tez hawaon ka karunga saamna ladunga apne har ek khauf se,
Baarishon mein bheegunga aur tapoonga jalti dhoop mein, 
Rok sako toh rok lo main chala uss or, 
Jahan bharte hain parwaaz, 
Mere jaise hi kuch aur aazaad parindey. 

Friday, 15 July 2011

Shayarana Andaaz 1




Deewangi ki hadd paar karne se pehle main soch kyun na paaya,
Akhir pyaar karne se pehle bhi toh deewana hi tha,
Is ishq ke ki aag mein jal jaane se khud ko kyun rok na paaya,
Akhir jalne se pehle bhi toh parwana hi tha,
Tu  ek aisi shama hai jo naseeb na ho saki mujhe,
Akhir is baar bhi kismet ka main toh nishana hi tha…….
*****
Kis gaflat main jeeta jaa raha hun main,
Ye gaflat zindagi ki haqiqat bann chuki hai ab,
Haqiqat se toh ab darr lagta hai ae dost,
Ye gaflat hi meri zindagi bann chuki hai ab…
*****
Akeli sham mein dhuyen ke aagosh mein….
Socha thoda rumani hua jaaye…
Barasti boonde girti hui dekhi…
Socha thoda rumani hua jaaye…
Tanhai mein rumaniyat ka alag maza  hai ae dost…
Socha thoda rumaani hua jaaye…

उफान

सपने टूटते हैं  तो दिल टूट जाता है, दर्द का दरिया उमड़ता है कभी, कभी गुस्से का उफान, खालीपन सा घर कर लेता है  सीने में और फिर हम फिर उस खालीप...